Tuesday, 22 November 2016

Story behind the success... end semester frustration....

                                     End sem frustration..........


Bass.. Bass itni hi kahaani thi meri..
Ek kitab thi jise maine semester bhar chhua nai tha.
ek kuch teachers or frndss the jo abhi bhi iss ummeed me the ki shayad launda pass ho jaye.
 do roomie the jo pagal the.
 Ek aur kitab thi jo course ki nai thi jise mai 3baar padh chuka tha.
mera wifii tha, mobile tha, fb thi, aur ye ek dimag tha jo hamara sath chhod chuka tha, aur ye ek hamara dil tha jis me ab bhi himmat baki thi.
hum padh sakte the, par kiske liye, hum fod sakte the par kiske liye.
mere dost, hostel, college ki galiyan, sab mujhse chhut raha tha, par rakh bhi kis ke liye lete.
mere dil ki takat ya to mujhe pass kara sakti thi ya meri watt laga sakti thi...
 par sala ab padhe kaun, kaun fir se mehnat kare xerox karane ko,notes ratane ko. 
Abe koi to awaazde ke rok lo,ye faculty jo class me har roz hamari harami ki tarah lete rehte hain, aaj bhi agar theek se padhaye to mahadev ki kasam top kar jayen...
par nahi,ab sala mood nai hai, kitab band kar lene me hi sukh hai,notes rakh dene me hi bhalai hai.
Par uthenge kisi roz, back papers clear karwane ko, arki se phie mech mai jane ko....engg pass ho jane ko, garv se engineers kehlane ko..!!

No comments:

Post a Comment